Site icon Duenice

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics

Mere aaqa madiny bula lijiye
Mere aaqa madiny bula lijiye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye…
Tarap raha hoon madine ki haazri k liye..

Tayyaba k jaany waly..Jaa kr bary adab se..
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se..

Kehna k  shah-e- aalam..Ek ranjo ghum ka mara..
Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara..
Haalat e pur alam se  iss dum guzar raha hai
Or kampty labon se faryaad kr raha hai..

Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye..
Koi nahi hai aesa jo pochny ko aaye..

Bola howa musafir manzil ko dondta hai..
Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai..
Seeny mein hai andhera..Dil hai shiyaah khana..
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana..

Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se..
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se..

Sarwar qabr-e-ghum hai.. ashkon se aankh num hai…
Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo..
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo..
faryaad kr raha ho..main dil figar kb se..
Mera bhi qissa-e-ghum kehna mery nabi se…

Hazoor aesa koi intzamm ho jaye..
Salam k liye hazir ghulaam ho jaye..

Sahara chahye sarkar zindgi k liye..
tarap raha hoo madine ki hazri k liye..

Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena..
K dawa wahi mily gi mujy le chalo madina..

Nahi maal-o-zar to kya hai..Main greeb hoo yahi na..
Mere ishq mujh ko le chal..Tuhi janb-e-madina..

Aaqa na toot jaye  ye dil ka aabghina….
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na..

Dil ro raha hai jin ka.. aanso chalak rahy hain..
Un aashqo ka sadqa.. bolwaeye madinaaaaa..

Mere aaaqa madiny bula lijiye……..

Madiny jaaon, phir aaon, dobara phir jaaon..
Ye zinagi meri yonhi tamam ho jaye…..

Sahara chahye sarkar zindagi k liye..
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye..

Ae aazm-e-madina.. ja kr nabi se kehna…
Sody humen alam se.. ab jal raha hai seena..

Kehna k bar rahi, ab dil ki iztrabi..
Qadmo se door hoo mai, qismat ki hai khrabi…

Kehna k dil me mere arman bhary howe hain
Kehna k hasrtoon k nashtar choby howe hain

Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao..
Sultan-e-do jahan ko..Daaghy jigar dikhao..
Kaato hazar chakar, tayyaba ki har gali k..
Yonhi guzaar do aayam zindgi k..

Pholon py jaan nisaron.. kanton py dil ko waaron..
Zarron ko doon salami..  dar ki karon ghulami..
Dewaro dar ko chomon.. chokhat py sar ko rakh doon..

Rozy ko dekh kr main, rota raho brabar..
Aalam k dil mein hai ye, hasrat najaany kab se…
hum sab k hai dil mein  hasrat najany kab se..
Mera bhi qisa e ghum kehna shah-e-arab se…

Sahara chahaye sarkar zindgi k liye..
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye..

Ek roz ho ga jaana.. sarkar ki gali mein..
Ho ga wahi thikana.. sarkar ki gali mein..

Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten..
Jana to aese jana, sarkar ki gali me..

Ya mustafa khudara.. do izn haazri ka..
Kr lo nazara aakr.. main ap ki gali ka..

Ek baar to dikha do ramzan mein madina..
Iss bar to dikha do ramzan mein madina..
Aaqqa humen dikha do ramzan me madina..
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka..

Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye..
Jo zindgi ki madiny mein shaam ho jaye..

Shahra chahye sarkar zindgi k liye..
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye..

Bula lo na…….. bula lo na…………

Aaqaq aaqa aqqa……… ……………..

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics

Exit mobile version