Badi shay hai nisbat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) (Lyrics)
Hai waseela apni najaat ka
Shah-e-ambiya ki jo Aal hai,
Barha uska jaah-o-jalaal hai,
Nahin uski koi misaal hai,
Wo habib-e-haq ka jamaal hai,
Nahin kaal is mein ye haal hai,
Mila usko kaisa kamaal hai,
Ye Khuda-e-pak ki hai ataa,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam,
Barhe muttaqi barhe nek naam,
Wo hain badshah to hain hum ghulam,
Bane unke madhha tara tamaam,
Barha uncha har ek ka hai maqaam,
Hue pehle hazrat Ali Imam,
Jinhe sab ne Asadullah kaha,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Hain Hassan Imam Hussain bhi,
Hain Ali Raza wo Naqi Taqi,
Hain Imam Baqir-o-Kazmi,
Kahin Abdi kahin Ja’fari,
Koi Mahdi koi hai Askari,
Hai har ek Rasool ki raushni,
Mili unse duniya ko hai zia,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Ye hain aala aulad-e-Ali
Kahin in mein Alwi aur Fatemi
Yahi nasl aal-e-Nabi bani
Hai mohabbat inse to wajibi
Hai Riyaz hukm-e-Khuda yahi
Yahi hai hadeeth Huzoor ki
Kahoon kyun na phir main warmala
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
badi shay hai nisbat e mustafa lyrics