Shahe Do alam Salam Assalam
Islamic

Shahe Do alam Salam Assalam Naat Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam
Karo door har gham Salam Assalam
Har aankh hoke purnam salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam

Rabb ne bade pyar se me’raaj mein kaha
Rehne do na’layn ko aa jaao mustafa
Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa
Jhum uthe sare malaik w marhaba
Mange jo nabi rabb ne wo diya
Rabb ne jo diya nabi ne wo liya
Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam

Aap ne jo kar diya ungali ka ishara
Chaand do tukde hua kurban ho gaya
Jab namaz e asar ali ki hui kaza
Aap ne suraj ko dubara palat diya
Aap jo kiye mo’ajaze bane
Aap jab chale do jahan juke
Mera sar bhi hai kham Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam

Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina
Nazre karam se hamen bulwayen madina
Paas hamare na koi maalo zar hai
Mujse badi door madine ka safar hai
Der na karo jaldi bulalo
Dar pe bula kar gham se chhuda lo
Nikal jaaye na dam Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam

Ya nabi ab hashr mein ummat ko bachana
Aasiyon ko moori chadar mein chhupana
Zindagi hamari gunahon mein kati hai
Ya nabi bakhshih ye nazar sab ki lagi hai
Shahe abmiya dena aasara
Noore kibriya sun lo ye sada
Karam jaane alam salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam
Garibon ke hamdam salam Assalam

 

Shahe Do alam Salam Assalam Naat Lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *